Dil ki Gahrai se-2

Welcome To My Homepage Dil Ki Gahrai Se-1 Dil ki Gahrai se-2 My Photos Chat My Fev. Videos/Songs My Fev.Audio/Songs Guest Book

Some thing for Some one.........................!

Mil na Saka

Teray Pyar Ki Arzoo Thi Jo Mujhay Mil Na Saka
Dil Main Wo Phool Sajaya Jo Kabhi Khil Na Saka

Basi hai Ik Hi Moorat Meray Dil Main
Khoya Jo Usey Phir Wesa Koi Kabhi Mil Na Saka

Chupaya Hai Tujhay Pelkon Main Khwab Ki Terhaan
Meri Ankhoon Ke Samander Ko Kinara Mil Na Saka

Dil Ke Raaste Main Koi Is Terhan Se Na Bhatke
Ke Doobta Hi Chala Gaya Koi Sahara Mil Na Saka

Teri Chahat Main Janey Kitni Door Nikal Gaya Hoon Main
Per Meri Kismat, Ik Pal Ko Bhi To Meray Sath Chal Na Saka

Hai Ye Meri Dua Ke Sada Aabad Reho Tum
Milay Her Wo Sukh Tumhain Jo Mujhay Kabhi Mil Na Saka

 

Kitne Pagal hai

Wo Mujh se Meri Udasiyon ki Waja puchta hai
Kitna Pagal hai Raat k Sannate ki Waja puchata hai



Wo Mujh se Mere Aanso'on ki Waja Puctha hai
Kitna Pagal hai Barish k barasne ki Waja puchta hai



Wo Mujh se Meri Pasand puctha hai
Kitna Pagal hai Khud apne hi barey mai pucta hai



Wo Mujh se Meri Wafa ki intihaa puchta hai
Kitna Pagal hai Sahil per Khara Samandar ki Gehrai puchta hia

Aj wo bhi Chalegaye

zindagi mein kyon etni tanhayi si hai
pna koi nahin aur bheedh badi hai

puchhe jab koi kyon ankhe hai gamzada
hanste hue kahte hai ki kirkiri padi hai

ibarat nahin koi jise padh sake hum
dil ki ye deewar to bus sooni khadi hai

har modh pe hai meel ka pathar hansta hua
aur chaurahe pe zindagi udas khadi hai

kab hoga shuru safar iska bhi pata nahin
aur mujhe dekho anjaam ki padi hai

Chood jate hai log hame karib aakar"aj wo bhi chale gaye"
Kyu har bar hota mere satha aisa hai

 

Jindgi

Roj naye dard ka salam le rahi meri jindgi,    Kyu es kadar mera imtihan le rahi jindgi. 

Maine ki muhabbat to rona hai umra bhar,      Ha es tarah mujhe ilzam derahi jindgi. 

Ab koi nahi puchhata kya hal hai mera,     Andhere kyu mujhe gumnam derahi jindgi. 

Khali si diwaro me raushan hai tanhaiya,     Aisa mujhe suna sa makan derahi jindgi. 

Tumse nahi shikayat tumhari nahi khata,     Meri khata ka mujhe mukam derahi jindgi. 

Hu juda jo khud se to jinda hi kyu hu mai, Rukhshat ka ab mujhe farman derahi jindgi.

 

Mari tanhai per muskurate rahay

Ajnabi shaher k ajnabi raste
mari tanhai per muskurate rahay
mai buhaat der tak yonhen chalta raha
tum buhat der tah yaad atay rahay
ajnabi shaher k ajnabi raste
mari tanhai per muskurate rahay
zeher milta raha zeher sayte rahay
roz jalte rahey roz marte rahay
zindagi bhi tumhain azmati rahee
or hum bhi osay azmate rahay
ajnabi shaher k ajnabi raste
mari tanhai per muskurate rahay
zahkum jab bhi koi zehan per laga
zindagi ki teraf aik dareecha khula
hum bhi goya kisi saaz k taar hain
choot kahte rahay gungunate rahay
ajnabi shaher k ajnabi raste
mari tanhai per muskurate rahay

Pagal

Yaad aa hi jaati ho tum aksar khayalo main,
Tumhe bhoolnae ki sari koshishen nakam ho gai.

Tumhara hi naam aata hai ab lab par mere,
Pyar chhupane ki tamaam aadaten benaqab ho gai

Dil main bhari hui hain bus tumhaari hi yaaden
Tumhaari yaaden ab ek chhalakta jaam ho gai

Jud gaya yun mera naam tumhare naam ke saath
Tumhari shohrat mere naam se badnaam ho gai

Is Qadar bekraar ho gaye hum tumhare liye
Tumhari chahat hi hamara armaan ho gai

Bahut tadpate ho hamen magar ye yaad rakhna
Meri ye judaai ki raaten tum par ilzaam ho gai

Sari duniya ab kahne lagi hai 'mujhe' PAGAL
Tumhaare pyar main yeh sazaa mere naam ho gai..