Dil Ki Gahrai Se-1

Welcome To My Homepage Dil Ki Gahrai Se-1 Dil ki Gahrai se-2 My Photos Chat My Fev. Videos/Songs My Fev.Audio/Songs Guest Book

Some thing for Some one.........................!

Teri Yad

Teri Yaad Ney Meray Dil Ko Saja Rakha Hai
Teray Piyaar Main Sab Ko Bhula Rakha Hai

Kuch Acha Nahin Lagta Teri Judai Key Baad
Ek Teri Yaad Ko Sinay Sey Laga Rakha Hai

Tera Milna To Abb Aik Khawab Hi Lagta Hai
Najanay Abb Kyoon Dil Ko Bhula Rakha Hai

Sab Kuch Lut Gaya Hamara Terey Piyaar Main
Teri Yaad Ko Palkoon Main Chupa Rakha Hai

Muqadar Sey Miltay Hain Bichar Key Warna
Ajj Bhi Tera Naam Dil Main Saja Rakha Hai

Najanay Koi Nahin Basta Teray Siva Ankh Main
Aik Tere Tasveer Ko Dil Main Chupa Rakha Hai
.

Apki Arju

Yun apki arju mere dil ak roshni jagati or bujhati rahi
jab bhi muskurana caha aankh bhar aati rahi

Umeedon ne banaa-banna ke tode mere khwaab
baharon mein dil ki kali khil ke murjhaati rahi....

thar-rati rahi ye sard palken garm ashqon se....
aag paani se mil ke dhuven udaati rahi

Na milaa ap jaisa koi na milne ki ummid
zindagi kadam-kadam pe thokaren khilati rahi...

ab kuch nahin hai baaki apki chaahat ke sivaa
ap milo ya na milo par milne ki ummid sapne me jagati rahi...

Honth to dekhe mere jamane ne muskuraate hue
zara dekh leti aankh bhi jo ashq bahaati rahi

Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

Hamesha muskura ke aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil, ye dil main kis ne jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Wakt be Wakt apni aahain daba ker
Unse bat karte huwe har wakt muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy chand-sitaro ki
Jaam-e-wafa kisi be wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mod pe aagaee hain umeedain
Ki saaya-e-manzil nazar main na aaya

Gairo ne palat ke dekha tak nahin
Apno ne bhi aaker galay se nahi lagaaya

Kya eeri khamoshiye ka andaja huwa hai unhe
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

Kah Na Paya

Tumhain chaha hai shidat se magar tum se kehna paaye
Base hain Dil main mudat se magar tum se kehna paaye


Tumhari aankhon ne jo chahre pe likha hua dekha hai
Woh kehna tha tum se fursat se magar tum se kehna paaye


Yeh Dil dete hue hum ko tumhain taqeed karni thi
Is Dil ko rakhna hifazat se magar tum se kehna paaye


Tumhain kehna tha yeh hume Mohabbat cheez hai aisi
Nahi milti hai jo daulat se magar tum se kehna paaye
Dil ko lakh samjhaya ab majbut hoja chal kahde
Pur Dil se awaj ayi wo pyar hi kya jise koi bina kahe samjh na Paaye.

Mai Kya chahta hu.

Ajeeb Shakhs hoon mai Khudh ko jalana chahta hoon,
Mein khudh ko rakh kar kahi bhool jana chaht hoon,
Meray naseeb ki khushiyan bhi kab milli mujhko,
Bas ab umr bhar unke yad me ansoo bahana chahta hoon,

Najaney kitni mohabbat or ranj-o-gham hai mujhey,
Koi bhi dard ho dil mein chupana chahta hoon,
Baha baha ke yeh ansoo bikhar chuka hoon bohaat,
simat ke zat me ab jhuthi muskan muskurana chahta hoon,

Jisey aik umer se Dil mein basa kai rakha hai,
Woh raaz aaj mein sab ko sunana chahta hoon,
Mujhe unse pyar tha hai or rahega ye batana chahta hoon
Wohi yaad hai jo usne kaha hai has kar,
Baqaya sarey sitam bhool jana chahta hoon,

Mujhe zamaney nai pathar samjh liya hai magar,
Mein aik insan hoon sab ko batana chahta hoon,
Jo mujh se ruth chuky hain zamaney ki khushiyan,
To mein bhi khushyon se ab ruth jana chahta hoon,

Woh meri khwahishein woh mera khuwaab woh mera bechani,
Unhe mai dil me apne basan chahta hoon,
Koi to ho jo mujhe bhi lagaye seenay se,
Kisi ko mein bhi gham apna sunana chahta hoon.

Ak Shakhas

Bana Gulab To Kante Chuba Gaya Aik Shakhs
Hua Chirag To Ghar Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamam Rang Mere Aur Sare Khoawab Mere
Fasane Thay Ke Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Mein Kis Hawa Mein Uron Kis Fiza Mein Lehraon
Dukhon Ke Jaal Har Su Bhicha Gaya Aik Shakhs

Mohabbaton Ne Kissi Ki Bhula Rakha Tha Isse
Mille Who Zakham Ke Phir Yaad Agaya Aik Shakhs

Sochta Raha Muddat se kahdu use
Par bina sune mera duniya ujad gaya Aik shakhs

Khula Yah Raaz Ke Aaina  Hai Duniya
Aur Is Mein Mujhe Tamasha Bana Gaya Aik Shakhs